SAD GHAZAL
Meri zindagi ko tamasha bana bana diya us ne,,
Bhari mehfil mein mujhe tanha bitha diya us ne,,
Aisi kiya thi nafrat us ko is masoom dil se,,
Khushian chura k gham thama diya us ne,,
Bahut naaz tha us ki wafa pe hum ko kabhi,,
Mujh ko meri he nazron mein gira diya us ne,,
Khud bewafa humari wafa ki kiya qadar karta,,
Anmol tha main khaak mein mila diya us ne,,
Wafa karna us ki fitrat mein shamil he ni,,
Hawa ka jhonka samajh ker bhula diya us ne,,

No comments:
Post a Comment